gulashan kii faqat phuulo.n se nahii.n kaa.NTo.n se bhii ziinat hotii hai
jiine ke liye is duniyaa me.n Gam kii bhii zaruurat hotii hai ai vaa_iz-e-naadaan karataa hai tuu ek qayaamat kaa charchaa
yahaa.N roz nigaahe.n milatii hai.n yahaa.N roz qayaamat hotii hai
vo purasish-e-Gam ko aaye hai.n kuchh kah na sakuu.N chup rah na sakuu.N
Kaamosh rahuu.N to mushkil hai kah duu.N to shikaayat hotii hai
karanaa hii pa.Degaa zabt-e-alam piine hii pa.De.nge yah aa.Nsuu
fariyaad-o-fuGaa.n se ai naadaan tauhiin-e-mohabbat hotii hai
jo aake ruke daaman pe 'sabaa' vo ashq nahii.n hai.n paanii hai
jo aa.Nsuu na chhalake aa.Nkho.n se us ashq kii qiimat hotii hai