Bhalay dinoan ki baat hai
Bhali si aik shakl thee
Naa yeh kay husn-e-tamam ho
Naa daikhnay main aam see Na yeh kay wo chalay to phir
Bahar rehguzar lagay
Magar wo jab bhi saath ho
Bhala bhala safar lagay
Koi bhi rutt hoa us ki chab
Fiza ka rang roop thee
Woh garmioun ki chaoon thee
Wo sardioun ki dhoop thee
Naa muddatoun juda rahay
Naa saath subh-o-shaam ho
Naa rishta-e-wafa pay zid
Naa yeh kay azn-e-aam ho
Naa aisi khush libaasian
Kay saadgi gilaa karay
Naa aisi baytakaluffi
Kay aaina haya karay
Naa ekhtilaat main wo ram
Kay badmaza hoan khwahishain
Naa iss qadar supurdagi
Kay zich karain nawazishain
Naa aashqi junoon kee
Kay zindagi azaab ho
Naa is qadar khatoor pan
Kay dosti kharab ho
Kabhi to baat pay kafi
Kabhi sukoot bhi sukhan
Kabhi to kusht-e-zafraan
Kabhi udaasioun ka ban
Bhali si aik shakl thee
Bhali si us ki dosti
Ab uskee yaad raat din
Naheen, magar kabhi kabhi