betapop | Date: Friday, 2009-08-07, 7:45 AM | Message # 1 |
Newbie
Group: Users
Messages: 8
Status: Offline
| Mere humsafar, tujhe kya khabar Yeh jo waqt hai kisi dhoop chaaon k khel sa Isay dekhtay, isay jhailtey Meri ankh gard se att gai Mere khwab rait main kho gaye Mere hath barf se ho gaye Mere bekhabar tere naam per Wo jo phool khilte thay hont per Wo jo deep jalte the baam per, Wo nahi rahey Wo nahi rahey K jo aik rabt tha darmiyan wo bikhar gaya Wo hawa chali Wo kisi sham aise hawa chali K jo barg thay sar-e-shakhe Jan, wo gira diye Wo jo harf darj the rait per, wo ura diye Wo jo raaston ka yakeen thay Wo jo manzilon k amiin thay Wo nishan-e-pa bhi mita diye! Mere humsafar, hai wohi safar Magar aik morr k farq se Tere hath se mere hath tak Wo jo hath bhar ka tha fasla Kai mosamon main badal gaya Usay naptay, Usay kaat'tay Mera sara waqt nikal gaya Tu mere safar ka shareek hai Mein tere safar ka shareek hon Per jo darmiyan se nikal gaya Usi faaslay k shumar main Usi be yakeen se ghubar main Usi rahguzar k hasar mai Tera raasta koi aur hai Mera raasta koi aur hai...
hy
|
|
| |