Ho naa dunya mai koi hum sa bhi piysa logo
Ji mai aati hay keh pi jain yeh darya logo Kitni iss sheher kay sakhyun ki suni thein batein
Hum jo aaye tou kisi ne bhi naa pocha logo
Ittifaqun hi sahi per koi der tou khulta
Jhilmilata pas-e-chilman koi saya logo
Sub ke sub mast rahe apne nehan khanon main
Koi kuch baat musafir ki bhi sunta logo
Hongay iss sheher mai kuch iskay bhi parhne wale
Yun tou yeh shakhs bhi mashoor tha khasa logo
Kisi daman kisi aanchal ki hawa tou milti
Jub sar-e-rah yeh damanda gira tha logo
Ek tasveer thi kiya janye kis ki tasveer
Naqsh mohom se aur rang ura sa logo
Ek aawaz thi kiya janye kis ki aawaz
Uss ney aawaz ka rishta bhi na rakha logo
Kuch pata uss ka humain ho tou tumhain batlain
Kaun ghar?kaun nagar?kaun mohallah logo
Chand hurfoon ka moamma tha woh uljha suljha
uss ne tou naam bhi poora na bataya logo
Haye yeh dard ke mushkil se thama tha dil mai
Chand ponam ka abhi se nikal aaya logo
Phir wohi dasht wohi dasht ki tanhai hay
Wehshat-e-dil ne kahin ka bhi na rakha logo
Uss main himmat hay tou der aaye utha de yeh hisar
Apne gunbad mai tou der hay na darecha logo
Ji ki ji hi mai rahein hasratein toofanoo ki
yeh safina tou kinare hi peh dooba logo
Koi paigham zabani bhi nahin kuch bhi nahin
Hum ne apne ko bohat dair sambhala logo
Band aankhain hoi jati hain pisarein paon
Neend si neend?humain abb na uthana logo
Ek hi shab hai taveel,itni taveel,itni taveel
Apne ayaam main amroz na farda logo
Abb koi aaye tou kehna"musafir tou gaya"
Aur yeh bhi kehna keh"bhala abb bhi na jata logo"
Rah taktay hoye pathra gai thein aankhain
Aah bhartay hoye chalni hoa seena logo
Hont jaltay thay jo leta tha kabhi aap ka naam
Iss tarah aur kisi ko naa satana logo........