Dard ki raahon pe hum phool sajaa detey hain
Ajnabi khuwabon ko gehri neend sula detey hain Bhanwar-e-maazi se hum ko kya lena dena janab
Hum to roz naye din ko naya jashn bana detey hain
Jalana chahe ger koi hume tou khud jal jatey hain
Suni ko an-suni kerke hassii mei udda detey hain
Jo sochte hain ussey ker dikhane ki chah rakhte hain
Manzil duur kahan usey hum khud paas bula detey hain
Khagaz ki tarah zindagi apni lafzon ka dariya hai yahan
Jo shabd dard de jayen RANI hum usko mitta detey hain