Friday, 2024-05-17, 9:34 AM
Welcome Visitor

kki9

[ New messages · Members · Forum rules · Search · RSS ]
  • Page 1 of 1
  • 1
Forum moderator: mrhotstable  
Biconz » Chit Chat » Poetry » Mujh ko Batain kab ati Hain
Mujh ko Batain kab ati Hain
betapopDate: Friday, 2009-08-07, 7:47 AM | Message # 1
Newbie
Group: Users
Messages: 8
Awards: 0
Reputation: 0
Status: Offline
Mujh ko Batain kab ati Hain ?

Main toa bas, Khamosh Sa Shayar

Ulfat chahat ky Rangoan se

Dil ki khali Tasweero mai

Koi Muhabbat Likh daita hoon

Aur kabhi,

Dewaar se lag kar....

Koi Muhabbat Ro daita hoon!

Aur kabhi ankhon ankhaon mai

Sari batain keh jata hoon!

Main toa ik Khamosh sa Shayar...

Mujh ko batain kab aati hain?

Mujhko batain gar aateen to....

Tum kiya mujhko chor ker jaateen ?

Meray sapnay toar kar jateen ?

Kiya meri Ankhaon mai dukh kay,

Itnay anso dai sakti theen?

Mera kul sarmaya tha jo..

Kiya wo mujh se lai sakti theen?

Mujh ko batain karna gar aateen toa...

Main bhi tum se wo sab kehtaa

Jo tum sunnay ki khawahish mai

Saray Raastay bhool aai ho!

Main tehraa Khamosh sa Shaayar...

Tum bhi meray khawab Sajateen

Yun tanhaa na chor kar jaatein!!!

Kaash............

Mujhay Bhi Batain Aateen ...!


hy
 
Biconz » Chit Chat » Poetry » Mujh ko Batain kab ati Hain
  • Page 1 of 1
  • 1
Search: